Sunday, September 28, 2008

shiddate bhoonk ne jab zayada sataya hoga

shiddate bhoonk ne jab zayada sataya hoga
usne kagaz pe hi roti ko banaya hoga

bhoonke bachche ki tasalli ke liye bewa ne
khali bartan main hi pani ko pakaya hoga

kaisi parchae hai jo mujhse alag hoti nahin
eisa lagta hai ki vo mera hi saya hoga

kaise ho jaye alag mulk alag hone par
jisne milkar lahu sarhad pe bahaya hoga

jiske aanchal main mili amnoo sukun ki daulat
vo to kuch aur nahin maa ka hi saya hoga

isleye uski bani sab se emarat unchi
usne mazlumoon ke chappar ko giraya hoga

qatal kisne kiya rehbar har ek hakim ko
naam qatil ka mere khoon ne bataya hoga

salim uddin "rehbar"

1 comment:

Dhananjay Patil said...

Amazing !!!

Please keep us the good work !

Came here searching for lines

" Mere qatil ko pata kisane pataya hoga
Ya to mera naqsh-e-qadam ya mera saya hoga "

Loved your writing ...