Sunday, September 28, 2008

har sham khayalat main aane ki zid na kar

har sham khayalat main aane ki zid na kar
zalim meri hayat pe chane ki zid na kar

mujhko nahin hai hosh gavane ka koi shok
aankho se mujhko jaam pilane ki zid na kar

bin punche mere paas to aana na tha tujhe
jab aa gaya to laut ke jane ki zid na kar

aise na ho ki khoon tapakne lage sanam
dantoon se apne hoont chabane ki zid na kar

jab ban hi gaee hai to bani rahne de isko
tasvir meri dil se mitane ki zid na kar

nafrat hai to nazroon se gira kyoon nahi deta
aankhon main mera pyar chupane ki zid na kar

aanchal main apne yoon dile "rehbar" ko dhank kar
iski har ek nafas main samane ki zid na kar

salim uddin rehbar

No comments: