Friday, September 26, 2008

jab se rooth gaya vo mujhse

jab se rooth gaya vo mujhse rooth gaya sansar
bhata nahin hai gulshan mujhko bhati nahin bahar

titli bhi athkheli karke aati nahin qarib
bhanwaroon ka gana lagta hai, ab to bada ajeeb
dil main koi umang nahin hai suna hai ghar-bar

bhata nahin hai gulshan mujhko bhati nahin bahar

lakho jatan kiye par uus ko bhool nahin paya
dil ki gehrae main aur palkon main uuse basaya
kaise bhool sakunga uus ko hai vo mera pyar

bhata nahin hai gulshan mujhko bhati nahin bahar

khuli aankh se uus ke sapne dekh raha hoon jane kab se
ek jhalak pane ko uus ki taras raha hoon jane kab se
bin pyar ke kaise jeena, jeene se hai mera inkar

bhata nahin hai gulshan mujhko bhati nahin bahar


jab se rooth gaya vo mujhse rooth gaya sansar
bhata nahin hai gulshan mujhko bhati nahin bahar

mazhar ali "kasmi"

No comments: