Sunday, September 28, 2008

mer dava hai ke manzil ka pata

mera dava hai ke manzil ka pata mil jayega
dudhne wale tujhe ek din khuda mil jayega

ye musafir tu akela reh gaya to gham na kar
ek sathi kho gaya to dusra mil jayega

ajnabi ko ajnabi kehne se pahle soch lo
khoon ke rishte ka koe silsila mil jayega

isko khushhali samjhte ho ye khushhali nahin
bhoonkhi basti main bhi bachcha khelta mil jayega

dekhna pehchanna ahle nazar ka kam hai
rehzano ki bhir main bhi rehnuma mil jayega

main hun ek gumnam shayar shehar ka apne magar
jisse puchoge tumhe mera pata mil jayega

butparasti haqparasti main agar zam hogai
dekhna patthar kisi din bolta mil jayega

bewafai se jagah khali nahin koi 'ghulam'

har wafa ke shahar main ek bewafa mil jayega

Ghulam Rasool " Kemoori"


No comments: