Sunday, September 28, 2008

mere khilaf dil main vo kya-kya nahin rakhte

mere khilaf dil main vo kya-kya nahin rakhte
jo samne aane ka kaleja nahin rakhte

rakhte hain dil dimag ko manind samandar
hum vo hain jo ummide kinara nahin rakhte

sachchaeyan chehre ki bayan kar na sake jo
hum aaina khanoo main vo shesha nahin rakhte

hum doston ke beech main diwar ki tarha
koi bhi pashopesh ka pard nahin rakhte

ae husnebutan paikaregul zulfe sayafam
hum tujhse judae ka erada nahin rakhte

"rehbar" ke liye haich hai rangin baharein
vo iska kabhi shouke nazara nahin rakhte

salim uddin "rehbar"

No comments: