Thursday, October 16, 2008

raha hai meharban hum par hamara meherban barson

raha hai meharban hum par hamara meherban barson
rahe hum behrobar mein badshahon hukmaran barson

jo apne khoon se gar aabayari hum nahin karte
baharon se yeh phir mehrum rehta gulsitan barson

sabaq humne diya insaniyat ka har zamane main
sunayega zamana yeh humari dastan barson

kitab allah se jab tak na humne rehnumae li
bhatakta hi raha yeh zindgi ka karvan barson

"qamar" yun hi nahin voh ho gaya hai meharban mujh par
liya zalim ne meri chahtoon ka imtihan barson

haji mohammad siddiq "qamar"